Thursday, March 23, 2017

Main apni baat kahu to kya doge?

Main apni baat kah bhi du to kya doge?

Bejhijhak bebak ban bhi jau to kya doge?

Tum mujhse mere hone ka

Main janti hun hakk cheen loge!

Main tumse apni baat kah bhi du to kya doge?

Main rafta rafta jeene ka ... Gur seekh rahi hun ...mat toko

Main chup rahkar sab sahne ka ...gur seekh rahi hu...mat roko

Tum kahte ho bebaak raho

Jo dil me aaye wo kaho..

Main dil ki baaton ko dafn karne ka gur seekh rahi hu...mat toko

Main tumse sab kuch kah bhi du

Main zinda hun ye saabit kar bhi du

Tum mere zinda hone se kya ghanta mujhse ittefaq karo

Tum mere sach kah dene se kyu ganga me ja doob maro

Sach ye ki tum jhoothe ho..

Sach ye hai ki tum nange ho

Sach ye hai ki tumse mera mazhab na bardaasht hua na hoga kabhi

Sach ye hai main gar sach kah bhi du... Tum sharm ka chaadar de doge

Sach ye hai us chaadar ki aad me tum meri achchi tarah le loge...

Sach ye ki main sach kah du to tum sab hoth see loge

Fir tum hi kaho...main apni baat kah bhi du ...to tum sab mujhko kya doge?

Tum doge ik bhookha bachpan, tum doge ik nanga yauvan, tum doge galiyan do chaar aur tum doge bhar bhar bhrashtachar, tum doge naari ka darpan, tum doge ammaran anshan, tum doge wahi galgal sarkaar, tum doge wahi deh vyapar, tum doge rashan ki line, tum doge signal par fine, tum doge mahangayi ka khel, tum doge do partiyon ka mel, tum doge twitter ki war , tum doge facebook ka sansaar.

Jab wahi doge jo dete aaye ho to main kya naya kahu....aur tum kya naya laye ho...

Chalo fir bhi....Main apni baat kah bhi du to kya doge? 

No comments:

Post a Comment